Tuesday, January 31, 2006

ab nahin kisi ek ke saath ki jaroorat......
hai jab dil ki manzil paani....
manzil jo hai hamesha se is zehen mein...
manzil.....jo le chale muje..ek aise jaahan mein.....
ek jaahan ki ho wahan sab ke liye khana....
ek jaahan ki ho wahan sab ke liye paani...
ek jaahan ki ho wahan sab ke liye kapde..
ek jaahan ki ho wahan sab ke aankhon mein saapne...
ek jaahan ki ho wahan sab ke liye dil mein pyaar.....
ek jaahan ki ho wahan sab ke dil mein umeed....
hai tammana ek aise jaahan ki......
hai jo kabse mere zehen mein....
ab nahin ruksakte ye aarmaan....
bas ab issi ko hai paane ka farmaan.

junoon

kya chahat bhari hai is dil mein....jante nahin....
kya armaan bahre hai is dil mein....jante nahin...
ek gussa hai bhara ek ajeeb si hulchul....
lagta hai jaise waqt nikla ja raha hai haanthon se....
naya aarmaan nikalta hai har pal is dil se....
karrne mar mitne ka junoon hai sawar dil dimaag pe..
kehena chahate hai bahot kuch har pal.....
karna chahate hai kuch naya har waqt...
kuch aisa ki chaye muskaan har chehere par....
kuch aisa ki bane jaannat har jagah is duniya ki....
kaun hai jo saath dega jante nahin...
kaun sa hai woh chehera pehechante nahin...
hai chaya ajeeb sa junoon....
ab sochte nahin kya kehete hai log....
haste hai.......hasne do....
rokte hai ......rokne do.....
hum nahin rukne walo mein se....
hum nahin chup rehene walon mein se..
kehenge..kerenge...ladenge...
cha jayenge har dil dimaag par....
banane ek nayi duniya.........

ye hai mumbai meri jaan....

dekhkar roz...tang galiya..nukkad..muhalle..dil mera soch mein pad jaata hai,
puchta hai.....chehere par lakar shikan....
kya rakha hai is mumbai shehar mein?
kyon aate hai is ajeeb se shehar mein log?
kho jaate hai aakar kaha saare log?
kaun hai ,kisi muhalle,nukkad,galli mein khade ye log?
kaunsi chahat liye aaye hai log is shehar mein ?
sapno ka shehar kehete hai ise?
par kya hai kisike sapne pure hue yahan?
aate hai sapno ko liye....par kya log sote hai is shehar mein?
jab sote nahi to kya honge inke sapne?
kho gay na is shehar mein inke sapne?
isliye puchete hai hum dilse...kyon aate hai log is shehar mein ?

kyon??

zindagi karti hai kyon itne sitam,
pal pal karti hai kyon is dil ke sur ko khatam,
laagta hai ke ab hai manzil se do kadam,
par deti hai zindagi fir ek nayi manzil jod.

dil ke is dard ko kisise tha batana,
par usi ne kar diya is dard ko dugna,
kehete kya unse hum jab ho gaya sab khatam,
chal pade hum fir se akele ek nayi manzil jod.

chahate hai ek sahare ko thamana,
chahat hai ek nayi zindagi ...meri tamanna,
jaane agli manzil deti hai kise jod.