Saturday, May 21, 2005

umeed ka saya

umeed ki maine aise logo se,
ki chaya hai aaj na-umeedi ka saya.

zindagi mein khayi aisi thokar,
ki dil aaj puch baitha 'zindagi mein maine kya hai paya?'.

sochane jab baithi apni zindagi ke bareme,
ki laga jaise khol diya ek khazana.

khazana tha sukh aur dukh se bhare lamho ka,
ki laga jaise maine sara jamana dekh liya.

jamana tha vahi jisne toda tha ye dil,
ki soch ke ye hothon par cha gayi ek muskan aur ........
fir ek bar dil par chaya ummed ka saya!!!!!

0 Comments:

Post a Comment

<< Home